Rukhsat ae bazm-e-jahan! soo-e-watan jata hoon mein
Aah! is abaad weerane mein ghabrata hun mein
Qaad hei darbar-e-sultan-o-shabista
Torr ker nikle ga zanjeer-e-talai ka aseer
Go barri lazat teri hamgama arai mein hai
Ajnabiat si magar teri shanasai mein hai
Mudat’on tere khud aaraon se hamsuhbat raha
mudat’on betaab mauj-e-bahr ke surat raha
Mudat’ot batha tare hangama-e-ishrat mein main
Roshni ki justuju karta raha zulmat mein main
Mudat’on dhunda kia nazara-e-gul, khar mein,
Aah! voh Yusuf na hath aia tere bazaar mein
Chashm-e-haran dhundti ab aur nazara ko hai
Arzo sahil ki mujh tufaan ke mare ko hei
Allama Iqbal, Bang-e-Dara
Comments
Post a Comment